ek bhi ghar tha kahan naql-e-makani ke liye
ek bhī ghar thā kahāñ naql-e-makānī ke liye
ham khañDar hī meñ rahe marsiya-ḳhvānī ke liye
ḳhāna-e-dil huā vīrāñ tire naġhmoñ ke baġhair
rah ga.ī guuñj faqat dard-e-nihānī ke liye
vādī-e-jāñ ko jo mahkā gayā zaḳhmoñ se mirī
de gayā lazzat-e-ġham bhī vo nishānī ke liye
pyaas ke dasht meñ dariyā bhī sarāboñ kā milā
manzil-e-shauq tarastī rahī paanī ke liye
paikar-e-sher meñ tasvīr utārī maiñ ne
yuuñ tarāshe na.e alfāz ma.ānī ke liye
dard kī aag meñ jaltā hai har ik harf mirā
dekh ye arz-e-hunar sho.ala-fishānī ke liye
maujzan hai mire jazboñ kā samundar lekin
yaad ne aur havā dī hai ravānī ke liye
ek bhi ghar tha kahan naql-e-makani ke liye
hum khanDar hi mein rahe marsiya-KHwani ke liye
KHana-e-dil hua viran tere naghmon ke baghair
rah gai gunj faqat dard-e-nihani ke liye
wadi-e-jaan ko jo mahka gaya zaKHmon se meri
de gaya lazzat-e-gham bhi wo nishani ke liye
pyas ke dasht mein dariya bhi sarabon ka mila
manzil-e-shauq tarasti rahi pani ke liye
paikar-e-sher mein taswir utari main ne
yun tarashe nae alfaz maani ke liye
dard ki aag mein jalta hai har ek harf mera
dekh ye arz-e-hunar shoala-fishani ke liye
maujzan hai mere jazbon ka samundar lekin
yaad ne aur hawa di hai rawani ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.