ek billor si murat thi sarape mein sahar
ek billor sī mūrat thī sarāpe meñ 'sahar'
chhan se TuuTī hai magar ek chhanāke meñ 'sahar'
paañv kī uñgliyāñ muḌ jaatī haiñ baiThe baiThe
chyūñTiyāñ reñgtī haiñ tan ke burāde meñ 'sahar'
TūTte rahte haiñ kuchh ḳhvāb sitāroñ jaise
kirchiyāñ phailtī rahtī haiñ ḳharābe meñ 'sahar'
kāġhazoñ meñ to likhā hogā usī ghar kā patā
ḳhud vo rahtā hai kisī aur ilāqe meñ 'sahar'
kitnī mushkil se guzartā hai lahū rag rag se
uñgliyāñ bāñdh rahā hai koī dhāge meñ 'sahar'
kachchī pencil kī lakīroñ se ubhāre the nuqūsh
sidq dhuñdlā gayā miTte hue ḳhāke meñ 'sahar'
yūñhī ma.amūl kī ik baat pe dil TuuT gayā
ghar to TuuTā thā kisī aur dhamāke meñ 'sahar'
zard chehroñ pe lakīroñ kī zabāñ kaun paḌhe
vaqt kuchh shā.irī kartā hai buḌhāpe meñ 'sahar'
ek billor si murat thi sarape mein 'sahar'
chhan se TuTi hai magar ek chhanake mein 'sahar'
panw ki ungliyan muD jati hain baiThe baiThe
chyunTiyan rengti hain tan ke burade mein 'sahar'
TuTte rahte hain kuchh KHwab sitaron jaise
kirchiyan phailti rahti hain KHarabe mein 'sahar'
kaghazon mein to likha hoga usi ghar ka pata
KHud wo rahta hai kisi aur ilaqe mein 'sahar'
kitni mushkil se guzarta hai lahu rag rag se
ungliyan bandh raha hai koi dhage mein 'sahar'
kachchi pencil ki lakiron se ubhaare the nuqush
sidq dhundla gaya miTte hue KHake mein 'sahar'
yunhi mamul ki ek baat pe dil TuT gaya
ghar to TuTa tha kisi aur dhamake mein 'sahar'
zard chehron pe lakiron ki zaban kaun paDhe
waqt kuchh shairi karta hai buDhape mein 'sahar'
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.