ek dafa jo tere zer-e-asar andha hua
ek dafa jo tire zer-e-asar andhā huā
aglī dafa bhī vahī hogā agar andhā huā
mere andar raushnī thī ḳhuun to thā hī nahīñ
vaar karne vaalā pahle vaar par andhā huā
vo nazar aatā hai to phir kuchh nazar aatā nahīñ
us ko jis jis ne bhī dekhā umr bhar andhā huā
sab usī ko dekh kar aa.e haiñ rāh-e-ishq par
jis kā āġhāz-e-safar meñ ham-safar andhā huā
āñkheñ khul jaatī haiñ jis hālat meñ ḳhud ko dekh kar
maiñ usī hālat meñ us ko dekh kar andhā huā
us ko āñkheñ mil ga.iiñ ghar meñ hamesha kī tarah
maiñ hamesha kī tarah auroñ ke ghar andhā huā
us ne ik andhe ko tohfe meñ chhaḌī kyā bhej dī
dekhte hī dekhte saarā nagar andhā huā
mere andhe-pan kā auroñ ne uThāyā fā.eda
vo jidhar hotā nahīñ thā maiñ udhar andhā huā
aise andhe kī hukūmat hai hamāre mulk meñ
jis ko ye bhī kah nahīñ sakte kidhar andhā huā
ek dafa jo tere zer-e-asar andha hua
agli dafa bhi wahi hoga agar andha hua
mere andar raushni thi KHun to tha hi nahin
war karne wala pahle war par andha hua
wo nazar aata hai to phir kuchh nazar aata nahin
us ko jis jis ne bhi dekha umr bhar andha hua
sab usi ko dekh kar aae hain rah-e-ishq par
jis ka aaghaz-e-safar mein ham-safar andha hua
aankhen khul jati hain jis haalat mein KHud ko dekh kar
main usi haalat mein us ko dekh kar andha hua
us ko aankhen mil gain ghar mein hamesha ki tarah
main hamesha ki tarah auron ke ghar andha hua
us ne ek andhe ko tohfe mein chhaDi kya bhej di
dekhte hi dekhte sara nagar andha hua
mere andhe-pan ka auron ne uThaya faeda
wo jidhar hota nahin tha main udhar andha hua
aise andhe ki hukumat hai hamare mulk mein
jis ko ye bhi kah nahin sakte kidhar andha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.