ek dam bhi jise is dil se bhulaya na gaya
ek dam bhi jise is dil se bhulaya na gaya
Sayyad Safdar Hussain
MORE BYSayyad Safdar Hussain
ek dam bhī jise is dil se bhulāyā na gayā
vo qarīb aaya to siine se lagāyā na gayā
kar diyā jalva-e-ruḳhsār ne aisā be-ḳhud
ham se ahvāl-e-dil-e-zār sunāyā na gayā
ajnabī ban ke sar-e-rāh mile haiñ mujh se
jin kī dīvār kā sar se mire saayā na gayā
mere pahlū meñ jo ik chiiz thī kyā ho ga.ī vo
ham haiñ aur tum ho yahāñ par koī aaya na gayā
yuuñ to is dosh pe sau bār-e-garāñ the lekin
naaz ik terī mohabbat kā uThāyā na gayā
baḌh gayā farz kā ehsās junūñ kī had tak
lekin is sar se tirī zulf kā saayā na gayā
pī gayā ashk kā tūfān bhī 'safdar' lekin
rang chehre kā bahar-hāl chhupāyā na gayā
ek dam bhi jise is dil se bhulaya na gaya
wo qarib aaya to sine se lagaya na gaya
kar diya jalwa-e-ruKHsar ne aisa be-KHud
hum se ahwal-e-dil-e-zar sunaya na gaya
ajnabi ban ke sar-e-rah mile hain mujh se
jin ki diwar ka sar se mere saya na gaya
mere pahlu mein jo ek chiz thi kya ho gai wo
hum hain aur tum ho yahan par koi aaya na gaya
yun to is dosh pe sau bar-e-garan the lekin
naz ek teri mohabbat ka uThaya na gaya
baDh gaya farz ka ehsas junun ki had tak
lekin is sar se teri zulf ka saya na gaya
pi gaya ashk ka tufan bhi 'safdar' lekin
rang chehre ka bahar-haal chhupaya na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.