ek dhundla sa sitara bhi bahut hota hai
ek dhuñdlā sā sitārā bhī bahut hotā hai
shab-e-ġham meñ ye sahārā bhī bahut hotā hai
gardish-e-vaqt pe kyā hai mirī barbādī meñ
haath dar-parda tumhārā bhī bahut hotā hai
be-qarārān-e-mohabbat kī tasallī ke liye
un kā adnā sā ishāra bhī bahut hotā hai
kyuuñ maiñ tūfān o talātum kī panāheñ DhūñDūñ
Dūbne ko to kinārā bhī bahut hotā hai
Dūbne vaale ko dariyā-e-mohabbat meñ 'nasīm'
ek tinke kā sahārā bhī bahut hotā hai
ek dhundla sa sitara bhi bahut hota hai
shab-e-gham mein ye sahaara bhi bahut hota hai
gardish-e-waqt pe kya hai meri barbaadi mein
hath dar-parda tumhaara bhi bahut hota hai
be-qararan-e-mohabbat ki tasalli ke liye
un ka adna sa ishaara bhi bahut hota hai
kyun main tufan o talatum ki panahen DhunDun
Dubne ko to kinara bhi bahut hota hai
Dubne wale ko dariya-e-mohabbat mein 'nasim'
ek tinke ka sahaara bhi bahut hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.