Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek diwan le ke baiThe hain

Sohil Barelvi

ek diwan le ke baiThe hain

Sohil Barelvi

MORE BYSohil Barelvi

    ek dīvān le ke baiThe haiñ

    kyā sāmān le ke baiThe haiñ

    lau hathelī pe jal rahī hai aur

    dil meñ tūfān le ke baiThe haiñ

    bas mujhe chhoḌ kar jahāñ meñ sab

    kaam āsān le ke baiThe haiñ

    aap ke dam se huuñ maiñ jān-e-man

    aap jaan le ke baiThe haiñ

    zabt kar ke hazār dukh dil meñ

    ek muskān le ke baiThe haiñ

    baa'd ginñe ke kam nahīñ hote

    taare to jaan le ke baiThe haiñ

    hoñT kar galī se guzreñge

    sab makāñ kaan le ke baiThe haiñ

    ek diwan le ke baiThe hain

    kya hi saman le ke baiThe hain

    lau hatheli pe jal rahi hai aur

    dil mein tufan le ke baiThe hain

    bas mujhe chhoD kar jahan mein sab

    kaam aasan le ke baiThe hain

    aap ke dam se hun main jaan-e-man

    aap hi jaan le ke baiThe hain

    zabt kar ke hazar dukh dil mein

    ek muskan le ke baiThe hain

    ba'd ginne ke kam nahin hote

    tare to jaan le ke baiThe hain

    honT si kar gali se guzrenge

    sab makan kan le ke baiThe hain

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now