ek diwane ko aaj aae hain samjhane kai
ek dīvāne ko aaj aa.e haiñ samjhāne ka.ī
pahle maiñ dīvāna thā aur ab haiñ dīvāne ka.ī
aql baḌh kar ban ga.ī thī dard-e-sar jaate kahāñ
aa ga.e dīvāngī kī had meñ farzāne ka.ī
saarī duniyā aa rahī hai dekhne ke vāste
sar-phiroñ ne ek kar Daale haiñ vīrāne ka.ī
kyā hamāre daur ke kuchh piine vaale uTh ga.e
aaj ḳhālī kyoñ nazar aate haiñ paimāne ka.ī
mujh ko chup rahnā paḌā sirf aap kā muñh dekh kar
varna mahfil meñ the mere jaane pahchāne ka.ī
kis tarah vo din bhulā.ūñ jis bure din kā sharīk
ek bhī apnā nahīñ thā aur begāne ka.ī
maiñ vo kāshī kā musalmāñ huuñ ki jis ko ai 'nazīr'
apne ghere meñ liye rahte haiñ but-ḳhāne ka.ī
ek diwane ko aaj aae hain samjhane kai
pahle main diwana tha aur ab hain diwane kai
aql baDh kar ban gai thi dard-e-sar jate kahan
aa gae diwangi ki had mein farzane kai
sari duniya aa rahi hai dekhne ke waste
sar-phiron ne ek kar Dale hain virane kai
kya hamare daur ke kuchh pine wale uTh gae
aaj KHali kyon nazar aate hain paimane kai
mujh ko chup rahna paDa sirf aap ka munh dekh kar
warna mahfil mein the mere jaane pahchane kai
kis tarah wo din bhulaun jis bure din ka sharik
ek bhi apna nahin tha aur begane kai
main wo kashi ka musalman hun ki jis ko ai 'nazir'
apne ghere mein liye rahte hain but-KHane kai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.