ek din dil jaan se sab par bharosa ho gaya
ek din dil jaan se sab par bharosa ho gayā
dushmanoñ ke biich maiñ bilkul nihatthā ho gayā
raushnī hī raushnī thī duur tak dekho jahāñ
tū gayā kyā yaar har sū bas añdherā ho gayā
jā-ba-jā aatī nazar ab laaj luTtī prem kī
kyoñ havas kī aag meñ har shaḳhs andhā ho gayā
chaar din se bas udāsī bas udāsī saath hai
yuuñ samajh lo dost se tum yaar jhagḌā ho gayā
ek par vo kis tarah mauqūf rahtā saal bhar
chaar din kī chāñdnī meñ jo sabhī kā ho gayā
chārāgar bhī lag ga.e sab apne duuje kaam se
diid se terī tirā bīmār achchhā ho gayā
ek din dil jaan se sab par bharosa ho gaya
dushmanon ke bich main bilkul nihattha ho gaya
raushni hi raushni thi dur tak dekho jahan
tu gaya kya yar har su bas andhera ho gaya
ja-ba-ja aati nazar ab laj luTti prem ki
kyon hawas ki aag mein har shaKHs andha ho gaya
chaar din se bas udasi bas udasi sath hai
yun samajh lo dost se tum yar jhagDa ho gaya
ek par wo kis tarah mauquf rahta sal bhar
chaar din ki chandni mein jo sabhi ka ho gaya
chaaragar bhi lag gae sab apne duje kaam se
did se teri tera bimar achchha ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.