ek do tin chaar se pahle
ek do tiin chaar se pahle
bas ḳhudā thā shumār se pahle
mere shahroñ kā haal mat pūchho
raushnī thī ġhubār se pahle
aap mujh ko mile na the yā'nī
dilkashī aur nikhār se pahle
kitne mausam guzar ga.e yūñhī
ab to aa jā bahār se pahle
marne detā nahīñ hai ik chehra
ek mad hai utaar se pahle
ham to apne kabhī hue hī na the
pyaar ke baa'd pyaar se pahle
ehtimām-e-visāl kar liije
zahmat-e-intizār se pahle
mujh ko ḳhud par yaqīñ na thā ik pal
aap par e'tibār se pahle
ek sūrat nazar meñ bantī hai
dast-e-naqsh-o-nigār se pahle
ek sahrā hai aab ke uupar
ik samundar hai ġhaar se pahle
zikr-e-parvardigār thā maujūd
hukm-e-parvardigār se pahle
'ishq bhī toḌ phoḌ kartā hai
jāñch liije buḳhār se pahle
aur ik ishtihār thā chaspāñ
aap ke ishtihār se pahle
ek do tin chaar se pahle
bas KHuda tha shumar se pahle
mere shahron ka haal mat puchho
raushni thi ghubar se pahle
aap mujh ko mile na the ya'ni
dilkashi aur nikhaar se pahle
kitne mausam guzar gae yunhi
ab to aa ja bahaar se pahle
marne deta nahin hai ek chehra
ek mad hai utar se pahle
hum to apne kabhi hue hi na the
pyar ke ba'd pyar se pahle
ehtimam-e-visal kar lije
zahmat-e-intizar se pahle
mujh ko KHud par yaqin na tha ek pal
aap par e'tibar se pahle
ek surat nazar mein banti hai
dast-e-naqsh-o-nigar se pahle
ek sahra hai aab ke upar
ek samundar hai ghaar se pahle
zikr-e-parwardigar tha maujud
hukm-e-parwardigar se pahle
'ishq bhi toD phoD karta hai
jaanch lije buKHar se pahle
aur ek ishtihaar tha chaspan
aap ke ishtihaar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.