ek do tin chaar silsila-war
ek do tiin chaar silsila-vār
uTh ga.e saare yaar silsila-vār
kaash khilte raheñ hamesha phuul
kaash aa.e bahār silsila-vār
un pe marnā na ek baar miyāñ
jaan karnā nisār silsila-vār
dhīre dhīre maiñ hosh meñ aayā
merā TuuTā ḳhumār silsila-vār
maiñ ne khaa.e haiñ tiir rah rah kar
maiñ huā huuñ figār silsila-vār
har koī raushnī se thā mahrūm
dekhe jitne bhī ġhaar silsila-vār
vaqt sā bevafā nahīñ koī
log dekhe hazār silsila-vār
ek do tin chaar silsila-war
uTh gae sare yar silsila-war
kash khilte rahen hamesha phul
kash aae bahaar silsila-war
un pe marna na ek bar miyan
jaan karna nisar silsila-war
dhire dhire main hosh mein aaya
mera TuTa KHumar silsila-war
main ne khae hain tir rah rah kar
main hua hun figar silsila-war
har koi raushni se tha mahrum
dekhe jitne bhi ghaar silsila-war
waqt sa bewafa nahin koi
log dekhe hazar silsila-war
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.