ek do tin nahin sare qabail kar le
ek do tiin nahīñ saare qabā.il kar le
koī mantiq hai tire paas jo qaa.il kar le
jurm sābit hai muāfī to nahīñ ho saktī
pesh karne haiñ agar tū ne dalā.el kar le
saf-e-avval kā sipāhī huuñ so marne se rahā
ab tū aayā hai to yuuñ kar mujhe ghāyal kar le
qaht huuñ aur tire shahr meñ paḌ saktā huuñ
jitne kar saktā hai muTThī meñ vasā.il kar le
itnā kachchā nahīñ 'qāsim' ki haqīqat ke sivā
apnī bīnā.ī kisī ḳhvāb pe zaa.il kar le
ek do tin nahin sare qabail kar le
koi mantiq hai tere pas jo qail kar le
jurm sabit hai muafi to nahin ho sakti
pesh karne hain agar tu ne dalael kar le
saf-e-awwal ka sipahi hun so marne se raha
ab tu aaya hai to yun kar mujhe ghayal kar le
qaht hun aur tere shahr mein paD sakta hun
jitne kar sakta hai muTThi mein wasail kar le
itna kachcha nahin 'qasim' ki haqiqat ke siwa
apni binai kisi KHwab pe zail kar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.