ek duniya ek jahan tasKHir karne waste
ek duniyā ik jahāñ tasḳhīr karne vāste
ḳhvāb honā chāhiye tā'bīr karne vāste
phuul bhī maujūd haiñ naqsha-garī karnī jo ho
baaġh meñ mahkār hai tā'mīr karne vāste
'ishq chashma hai kahīñ se phuuT saktā hai ma'an
ye havā hotī nahīñ zanjīr karne vāste
khul to jaanā hai bil-āḳhir bhed tere husn kā
ye mo'amma hai zarā tāḳhīr karne vāste
ek do nuqte hamesha chhoḌ dene chāhiyeñ
kār-e-mushkil to nahīñ tasvīr karne vāste
ik fazā mas.hūr-kun aabī parindoñ ke liye
ik samundar hai yahāñ tāsīr karne vāste
ek do aise ishāre hoñ jo khul sakte na hoñ
aadmī hotā nahīñ tafsīr karne vāste
shā'irī hai tere mere vāstoñ kī guftugū
ye nahīñ aurang-e-‘ālamgīr karne vāste
ek duniya ek jahan tasKHir karne waste
KHwab hona chahiye ta'bir karne waste
phul bhi maujud hain naqsha-gari karni jo ho
bagh mein mahkar hai ta'mir karne waste
'ishq chashma hai kahin se phuT sakta hai ma'an
ye hawa hoti nahin zanjir karne waste
khul to jaana hai bil-aKHir bhed tere husn ka
ye mo'amma hai zara taKHir karne waste
ek do nuqte hamesha chhoD dene chahiyen
kar-e-mushkil to nahin taswir karne waste
ek faza mashur-kun aabi parindon ke liye
ek samundar hai yahan tasir karne waste
ek do aise ishaare hon jo khul sakte na hon
aadmi hota nahin tafsir karne waste
sha'iri hai tere mere waston ki guftugu
ye nahin aurang-e-‘alamgir karne waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.