ek duje ko jaante hi nahin
ek duuje ko jānte hī nahīñ
ab khulā hai ki ham vo the hī nahīñ
jitne patthar havā ke haath meñ haiñ
sar-e-ḳhāk itne aa.ine hī nahīñ
aisī hamvār rahguzar thī mirī
kahīñ sīdhe qadam paḌe hī nahīñ
ḳhvāb haiñ aur kuchh malāl bhī haiñ
aañkh meñ sirf ratjage hī nahīñ
sun udāsī ke vo charāġh haiñ ham
jal rahe haiñ kabhī bujhe hī nahīñ
un meñ uljhā huā hai kyuuñ 'sayyad'
yaar jo tere mas.ale hī nahīñ
ek duje ko jaante hi nahin
ab khula hai ki hum wo the hi nahin
jitne patthar hawa ke hath mein hain
sar-e-KHak itne aaine hi nahin
aisi hamwar rahguzar thi meri
kahin sidhe qadam paDe hi nahin
KHwab hain aur kuchh malal bhi hain
aankh mein sirf ratjage hi nahin
sun udasi ke wo charagh hain hum
jal rahe hain kabhi bujhe hi nahin
un mein uljha hua hai kyun 'sayyad'
yar jo tere masale hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.