ek ek kar ke so gae gham-KHwar raat ko
ek ek kar ke so ga.e ġham-ḳhvār raat ko
ye harf-e-nūr hī rahe bedār raat ko
din ko ye barg-o-shāḳh ḳhamoshī kī barf haiñ
dekho to in kī garmī-e-guftār raat ko
ik roz us ke gesu-e-mushkīñ ko chhū liyā
ugte haiñ ās-pās saman-zār raat ko
mumkin kahāñ ki so sakūñ pal-bhar ke vāste
hotā hai kyā se kyā pas-e-dīvār raat ko
din ko thapeḌe maujoñ ke khā khā ke so ga.e
ik lams-e-māh se hue bedār raat ko
un ko haqīr saa.e samajh ke na Taal do
phirte haiñ raushnī ke talab-gār raat ko
ek ek kar ke so gae gham-KHwar raat ko
ye harf-e-nur hi rahe bedar raat ko
din ko ye barg-o-shaKH KHamoshi ki barf hain
dekho to in ki garmi-e-guftar raat ko
ek roz us ke gesu-e-mushkin ko chhu liya
ugte hain aas-pas saman-zar raat ko
mumkin kahan ki so sakun pal-bhar ke waste
hota hai kya se kya pas-e-diwar raat ko
din ko thapeDe maujon ke kha kha ke so gae
ek lams-e-mah se hue bedar raat ko
un ko haqir sae samajh ke na Tal do
phirte hain raushni ke talab-gar raat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.