ek gham hi to yar hai apna
ek ġham hī to yaar hai apnā
dil jo un par nisār hai apnā
ham to kab ke hī mar ga.e yaaro
kis ko ab intizār hai apnā
mere zaḳhmoñ ko jo kuredtā hai
bas vahī ek yaar hai apnā
saarī duniyā tumhārī rakh lo tum
sirf parvardigār hai apnā
ham ne rakkhā hai jiine ke qābil
zindagī par udhār hai apnā
tere jaane ke baad dil ab to
ek ujḌā dayār hai apnā
hosh-mandoñ meñ tum rahe yaaro
ahl-e-dil meñ shumār hai apnā
mar bhī jā.ūñ to un ko kyā matlab
ek tarfa hī pyaar hai apnā
ek gham hi to yar hai apna
dil jo un par nisar hai apna
hum to kab ke hi mar gae yaro
kis ko ab intizar hai apna
mere zaKHmon ko jo kuredta hai
bas wahi ek yar hai apna
sari duniya tumhaari rakh lo tum
sirf parwardigar hai apna
hum ne rakkha hai jine ke qabil
zindagi par udhaar hai apna
tere jaane ke baad dil ab to
ek ujDa dayar hai apna
hosh-mandon mein tum rahe yaro
ahl-e-dil mein shumar hai apna
mar bhi jaun to un ko kya matlab
ek tarfa hi pyar hai apna
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 69)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.