ek hai phir bhi hai KHuda sab ka
ek hai phir bhī hai ḳhudā sab kā
is kā us kā mirā tirā sab kā
husn-e-mastūr ko 'ayāñ kar de
ek ho jaa.e mudda'ā sab kā
jurm-e-dil kī sazā milī mujh ko
maiñ ne paayā liyā diyā sab kā
naz' meñ de ga.e javāb havās
e’tibār aaj uTh gayā sab kā
ek begāna-ḳhū ko dil de kar
maiñ gunahgār ho gayā sab kā
maiñ kisī kā nahīñ sivā jis ke
haa.e vo hai mire sivā sab kā
aisī kyā ho ga.ī ḳhatā mujh se
mujh pe hai jaur-e-nā-ravā sab kā
sab ko chhoḌā hai maiñ ne jis ke liye
vo sitamgar hai āshnā sab kā
ek manzil hai ai 'nasīm' magar
jāda-e-shauq hai judā sab kā
ek hai phir bhi hai KHuda sab ka
is ka us ka mera tera sab ka
husn-e-mastur ko 'ayan kar de
ek ho jae mudda'a sab ka
jurm-e-dil ki saza mili mujh ko
main ne paya liya diya sab ka
naz' mein de gae jawab hawas
e’tibar aaj uTh gaya sab ka
ek begana-KHu ko dil de kar
main gunahgar ho gaya sab ka
main kisi ka nahin siwa jis ke
hae wo hai mere siwa sab ka
aisi kya ho gai KHata mujh se
mujh pe hai jaur-e-na-rawa sab ka
sab ko chhoDa hai main ne jis ke liye
wo sitamgar hai aashna sab ka
ek manzil hai ai 'nasim' magar
jada-e-shauq hai juda sab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.