ek hum saKHawat mein ghar ka ghar luTa baiThe
ek ham saḳhāvat meñ ghar ka ghar luTā baiThe
ek vo ḳhayānat se apnā ghar sajā baiThe
raushnī kā zimma jo apne sar liyā ham ne
aur kuchh na sūjhā to apnā ghar jalā baiThe
apne haar jaane kā ġham nahīñ zarā mujh ko
ġham hai mere apne bhī dushmanoñ meñ jā baiThe
kis qadar bharosa thā un ko zāt-e-aqdas par
yūñhī thoḌī apnī vo kashtiyāñ jalā baiThe
kal jo hans ke milte the muñh chhupā.e phirte haiñ
shams' aap kyoñ un ko ā.īna dikhā baiThe
ek hum saKHawat mein ghar ka ghar luTa baiThe
ek wo KHayanat se apna ghar saja baiThe
raushni ka zimma jo apne sar liya hum ne
aur kuchh na sujha to apna ghar jala baiThe
apne haar jaane ka gham nahin zara mujh ko
gham hai mere apne bhi dushmanon mein ja baiThe
kis qadar bharosa tha un ko zat-e-aqdas par
yunhi thoDi apni wo kashtiyan jala baiThe
kal jo hans ke milte the munh chhupae phirte hain
shams' aap kyon un ko aaina dikha baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.