ek ham-surat farishta raat-bhar kahta raha
ek ham-sūrat farishta rāt-bhar kahtā rahā
dāstāñ suntā na thā maiñ vo magar kahtā rahā
aaj aa.e dard kī shāḳhoñ pe rusvā.ī ke phuul
maiñ daraḳhtoñ ko abhī tak be-samar kahtā rahā
yaad us kī āsmānoñ par pahuñch kar aa.ī hai
ek pāgal jo kahāñ hai merā ghar kahtā rahā
ab to vo bhī dushmanoñ kī dastaras meñ jā chukā
kyā isī din ke liye sahrā ko ghar kahtā rahā
jo buzurgoñ ne sunā.e aur thak kar so ga.e
maiñ vahī qisse ba-alfāz-e-digar kahtā rahā
ek ham-surat farishta raat-bhar kahta raha
dastan sunta na tha main wo magar kahta raha
aaj aae dard ki shaKHon pe ruswai ke phul
main daraKHton ko abhi tak be-samar kahta raha
yaad us ki aasmanon par pahunch kar aai hai
ek pagal jo kahan hai mera ghar kahta raha
ab to wo bhi dushmanon ki dastaras mein ja chuka
kya isi din ke liye sahra ko ghar kahta raha
jo buzurgon ne sunae aur thak kar so gae
main wahi qisse ba-alfaz-e-digar kahta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.