ek hamin hain dekh le hum ko kya tere pichhe haal hai ji ka
ek hamin hain dekh le hum ko kya tere pichhe haal hai ji ka
Riyaz Hasan Khan Khayal
MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal
ek hamīñ haiñ dekh le ham ko kyā tire pīchhe haal hai jī kā
hai ye ġhalat mash.hūr jahāñ meñ koī nahīñ duniyā meñ kisī kā
surḳh hai chehra laal haiñ āñkheñ tīkhī hai chitvan bigḌe haiñ tevar
vaj.h to kuchh kahiye ḳhafgī kī kyā hai sabab is be-mazagī kā
sar meñ kisī kī dhun jo samā.ī rāt-din apnā mashġhala Thahrā
DhūñDte rahnā pūchhte phirnā khoj lagānā us kī galī kā
ta.ana kisī par tanz kisī par jumle haiñ us par phabtī hai us par
aur maze kī baat to ye hai tum ko da.avā be-dīnī kā
fasl-e-chaman meñ ruup nayā hai baaġh hai yā indar kī sabhā hai
sabze pe aalam sabz-parī kā laale meñ jalva lāl-parī kā
gosha-e-ḳhalvat dil kī farāġhat josh-e-javānī raat suhānī
yaar baġhal meñ haath meñ botal aaj maza hai bāda-kashī kā
kān-e-namak haiñ vo lab-e-la.alīñ bosa-e-lab haiñ shīrīñ shīrīñ
itnī malāhat phir ye halāvat saaf maza hai misrī Dalī kā
kahte haiñ vo kahne kī hai chāhat kaun hai āshiq kis ko mohabbat
dostī ab hotī hai ġharaz kī hai ye zamāna bul-havasī kā
dekho 'ḳhayāl' ā.īna lagā kar kaisī udāsī chhā.ī hai muñh par
kahte na the ham ishq-o-mohabbat jaan kā ghun hai rog hai jī kā
ek hamin hain dekh le hum ko kya tere pichhe haal hai ji ka
hai ye ghalat mashhur jahan mein koi nahin duniya mein kisi ka
surKH hai chehra lal hain aankhen tikhi hai chitwan bigDe hain tewar
wajh to kuchh kahiye KHafgi ki kya hai sabab is be-mazagi ka
sar mein kisi ki dhun jo samai raat-din apna mashghala Thahra
DhunDte rahna puchhte phirna khoj lagana us ki gali ka
tana kisi par tanz kisi par jumle hain us par phabti hai us par
aur maze ki baat to ye hai tum ko dawa be-dini ka
fasl-e-chaman mein rup naya hai bagh hai ya indar ki sabha hai
sabze pe aalam sabz-pari ka lale mein jalwa lal-pari ka
gosha-e-KHalwat dil ki faraghat josh-e-jawani raat suhani
yar baghal mein hath mein botal aaj maza hai baada-kashi ka
kan-e-namak hain wo lab-e-lalin bosa-e-lab hain shirin shirin
itni malahat phir ye halawat saf maza hai misri Dali ka
kahte hain wo kahne ki hai chahat kaun hai aashiq kis ko mohabbat
dosti ab hoti hai gharaz ki hai ye zamana bul-hawasi ka
dekho 'KHayal' aaina laga kar kaisi udasi chhai hai munh par
kahte na the hum ishq-o-mohabbat jaan ka ghun hai rog hai ji ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.