ek hangam-e-musalsal hai jo barpa mujh mein
ek hangām-e-musalsal hai jo barpā mujh meñ
kartā rahtā hai udāsī kā izāfa mujh meñ
shaam hote hī maiñ ho jaatā huuñ ā.īna sā
dekh sakte ho sar-e-shām sarāpā mujh meñ
dhuul bādal kī tarah uḌtī chalī jaatī hai
ek lashkar hai kisī or ravāna mujh meñ
jazb hai ek vo aalam ki jo sarshārī meñ
ek arzhang-e-fusūñ-gar hai banātā mujh meñ
toḌ detī hai mirī yaas tahayya merā
bāñdh detā hai koī phir se irāda mujh meñ
ek pātāl thī aur us ke sivā kuchh bhī na thā
maiñ ye samjhā thā ki hai auj-e-surayyā mujh meñ
baa'd muddat jise paa.e binā lauT aaya thā
us mohabbat kā milā mujh ko ḳhazīna mujh meñ
dukh to ye hai yahī sākit kiye detā hai mujhe
ye jo aatā hai nazar ḳhuun sā chaltā mujh meñ
habs baḌhtā hī chalā jaatā hai bātin meñ mire
kaash hotā koī ik-ādh darīcha mujh meñ
ab zamāne meñ huuñ maiñ goyā adam kī sūrat
haañ kisī daur meñ hotā thā zamāna mujh meñ
ab yahāñ koī nahīñ rah gayā sāme.a terā
chheḌ mat ab koī 'shahzād' tū qissa mujh meñ
ek hangam-e-musalsal hai jo barpa mujh mein
karta rahta hai udasi ka izafa mujh mein
sham hote hi main ho jata hun aaina sa
dekh sakte ho sar-e-sham sarapa mujh mein
dhul baadal ki tarah uDti chali jati hai
ek lashkar hai kisi or rawana mujh mein
jazb hai ek wo aalam ki jo sarshaari mein
ek arzhang-e-fusun-gar hai banata mujh mein
toD deti hai meri yas tahayya mera
bandh deta hai koi phir se irada mujh mein
ek patal thi aur us ke siwa kuchh bhi na tha
main ye samjha tha ki hai auj-e-surayya mujh mein
ba'd muddat jise pae bina lauT aaya tha
us mohabbat ka mila mujh ko KHazina mujh mein
dukh to ye hai yahi sakit kiye deta hai mujhe
ye jo aata hai nazar KHun sa chalta mujh mein
habs baDhta hi chala jata hai baatin mein mere
kash hota koi ik-adh daricha mujh mein
ab zamane mein hun main goya adam ki surat
han kisi daur mein hota tha zamana mujh mein
ab yahan koi nahin rah gaya samea tera
chheD mat ab koi 'shahzad' tu qissa mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.