ek hangama bapa hai arsa-e-aflak par
ek hañgāma bapā hai arsa-e-aflāk par
ḳhāmushī phailā rakhī hai aaj maiñ ne ḳhaak par
ab mirā saarā hunar miTTī meñ mil jaane hai
haath us ne rakh diye haiñ dīda-e-namnāk par
roz baḌhtī hī chalī jaatī hai bīnā.ī mirī
roz rakh detā huuñ āñkhoñ ko terī poshāk par
ek hangama bapa hai arsa-e-aflak par
KHamushi phaila rakhi hai aaj main ne KHak par
ab mera sara hunar miTTi mein mil jaane hai
hath us ne rakh diye hain dida-e-namnak par
roz baDhti hi chali jati hai binai meri
roz rakh deta hun aankhon ko teri poshak par
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 69)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 71)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.