ek hasrat hi rahi subh ke aaghaz ke sath
ek hasrat hī rahī sub.h ke āġhāz ke saath
vo mujhe roz pukāre na.e andāz ke saath
maiñ tire aise palaTne pe yahī sochtā huuñ
kyā zamāne bhī palaT sakte haiñ āvāz ke saath
kuchh to bol ai mirī ḳhāmosh tabī'at vaale
kitnī takrār kiyā kartā thā nārāz ke saath
us ke qadmoñ meñ rakhī jā.egī talvār mirī
mujh ko anjām batāyā mire āġhāz ke saath
kitne ashkoñ kā ta'alluq hai mirī vahshat se
kitne zaḳhmoñ kā ta'alluq tirī āvāz ke saath
ek āvāz hai āvāz bhī sargoshī kī
aur to koī nahīñ hai tire ham-rāz ke saath
ab vahī shaḳhs batā saktā hai mujh ko 'dānish'
kis qadar gahre marāsim haiñ suḳhan-sāz ke saath
ek hasrat hi rahi subh ke aaghaz ke sath
wo mujhe roz pukare nae andaz ke sath
main tere aise palaTne pe yahi sochta hun
kya zamane bhi palaT sakte hain aawaz ke sath
kuchh to bol ai meri KHamosh tabi'at wale
kitni takrar kiya karta tha naraaz ke sath
us ke qadmon mein rakhi jaegi talwar meri
mujh ko anjam bataya mere aaghaz ke sath
kitne ashkon ka ta'alluq hai meri wahshat se
kitne zaKHmon ka ta'alluq teri aawaz ke sath
ek aawaz hai aawaz bhi sargoshi ki
aur to koi nahin hai tere ham-raaz ke sath
ab wahi shaKHs bata sakta hai mujh ko 'danish'
kis qadar gahre marasim hain suKHan-saz ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.