ek hasrat jo dil mein dabi rah gai
ek hasrat jo dil meñ dabī rah ga.ī
'umr bhar aañkh meñ phir namī rah ga.ī
jo bhī māñgā ḳhudā se mujhe mil gayā
jaane kyoñ aap kī hī kamī rah ga.ī
jab se rāheñ hamārī huī haiñ judā
har taraf chīḳhtī ḳhāmushī rah ga.ī
aap jab se ga.e haiñ mujhe chhoḌ kar
dil meñ ik dā.imī bekalī rah ga.ī
pī liye saare dariyā magar dosto
kyoñ laboñ par mire tishnagī rah ga.ī
thā jo qismat meñ us kī use mil gayā
merī taqdīr meñ shā'irī rah ga.ī
tum agar mil bhī jaao to kyā fā.eda
zindagī ab kahāñ zindagī rah ga.ī
maut ne ruuh ko jab pukārā 'asar'
haath maltī huī zindagī rah ga.ī
ek hasrat jo dil mein dabi rah gai
'umr bhar aankh mein phir nami rah gai
jo bhi manga KHuda se mujhe mil gaya
jaane kyon aap ki hi kami rah gai
jab se rahen hamari hui hain juda
har taraf chiKHti KHamushi rah gai
aap jab se gae hain mujhe chhoD kar
dil mein ek daimi bekali rah gai
pi liye sare dariya magar dosto
kyon labon par mere tishnagi rah gai
tha jo qismat mein us ki use mil gaya
meri taqdir mein sha'iri rah gai
tum agar mil bhi jao to kya faeda
zindagi ab kahan zindagi rah gai
maut ne ruh ko jab pukara 'asar'
hath malti hui zindagi rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.