ek hi bar mein KHwabon se kinara kar ke
ek hī baar meñ ḳhvāboñ se kināra kar ke
bujh ga.ī diid shab-e-vasl nazāra kar ke
juz tire aur tarīqe bhī nikal sakte the
ham ne dekhā hī nahīñ ḳhud ko dobāra kar ke
ham to bas bolne vaale the sabhī kuchh sach sach
tum ne achchhā hī kiyā chup kā ishāra kar ke
ham to sadiyoñ se isī taur basar karte haiñ
tum bhī kuchh roz yahāñ dekho guzārā kar ke
ḳhud ko sauñpā thā tumheñ ham ko tumhārā karne
tum ne lauTāyā hameñ ham ko hamārā kar ke
karte rahte haiñ jo har-vaqt tumhārā charchā
ḳhud ko chhoḌeñge kisī roz tumhārā kar ke
ab ye dariyā ye talātum ye safīna kyā hai
ham to sab bhuul ga.e tum ko sahārā kar ke
ek hi bar mein KHwabon se kinara kar ke
bujh gai did shab-e-wasl nazara kar ke
juz tere aur tariqe bhi nikal sakte the
hum ne dekha hi nahin KHud ko dobara kar ke
hum to bas bolne wale the sabhi kuchh sach sach
tum ne achchha hi kiya chup ka ishaara kar ke
hum to sadiyon se isi taur basar karte hain
tum bhi kuchh roz yahan dekho guzara kar ke
KHud ko saunpa tha tumhein hum ko tumhaara karne
tum ne lauTaya hamein hum ko hamara kar ke
karte rahte hain jo har-waqt tumhaara charcha
KHud ko chhoDenge kisi roz tumhaara kar ke
ab ye dariya ye talatum ye safina kya hai
hum to sab bhul gae tum ko sahaara kar ke
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 38)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.