ek hi jaise lage sunne mein afsane kai
ek hi jaise lage sunne mein afsane kai
Syed Fakhruddiin Balley
MORE BYSyed Fakhruddiin Balley
ek hī jaise lage sunñe meñ afsāne ka.ī
ho bhī saktā hai ki is duniyā meñ hoñ ham se ka.ī
chaar āñkheñ chāhiyeñ us kī hifāzat ke liye
āne-jāne ke liye jis ghar meñ hoñ raste ka.ī
ḳhud-irādī aur āzādī kī barakat dekhiye
ghar ke āñgan meñ nazar aate haiñ ab chūlhe ka.ī
dil na hoñ jab saaf to mil baiThne kā fā.eda
ho chuke haiñ yuuñ to maazī meñ bhī samjhaute ka.ī
aadmī ke par lage haiñ jab se simTī hai zamīñ
des jaise bhes ko darkār haiñ chole ka.ī
Than ga.ī hai is liye taqdīr aur tadbīr meñ
haath to har ik ke do haiñ aur gul-daste ka.ī
baat qismat kī nahīñ dil thā havas-nā-āshnā
varna ham ko bhī mile the kaam ke bande ka.ī
qurbatoñ se fāsloñ ko his kī bedārī milī
jism-o-jāñ ke darmiyāñ aa.e nazar parde ka.ī
bhiiḌ meñ aise ghire ki baḌh ga.iiñ tanhā.iyāñ
saath hī lekin hue ābād vīrāne ka.ī
lab pe halkī sī hañsī aur qalb Dāñvā-Dol hai
raah meñ ka.abe ke paḌte haiñ sanam-ḳhāne ka.ī
ek hi jaise lage sunne mein afsane kai
ho bhi sakta hai ki is duniya mein hon hum se kai
chaar aankhen chahiyen us ki hifazat ke liye
aane-jaane ke liye jis ghar mein hon raste kai
KHud-iradi aur aazadi ki barakat dekhiye
ghar ke aangan mein nazar aate hain ab chulhe kai
dil na hon jab saf to mil baiThne ka faeda
ho chuke hain yun to mazi mein bhi samjhaute kai
aadmi ke par lage hain jab se simTi hai zamin
des jaise bhes ko darkar hain chole kai
Than gai hai is liye taqdir aur tadbir mein
hath to har ek ke do hain aur gul-daste kai
baat qismat ki nahin dil tha hawas-na-ashna
warna hum ko bhi mile the kaam ke bande kai
qurbaton se faslon ko his ki bedari mili
jism-o-jaan ke darmiyan aae nazar parde kai
bhiD mein aise ghire ki baDh gain tanhaiyan
sath hi lekin hue aabaad virane kai
lab pe halki si hansi aur qalb Danwa-Dol hai
rah mein kabe ke paDte hain sanam-KHane kai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.