ek hi naghma kabhi soz kabhi saz mein hai
ek hi naghma kabhi soz kabhi saz mein hai
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
ek hī naġhma kabhī soz kabhī saaz meñ hai
aisā e.ajāz faqat vaqt kī āvāz meñ hai
āshiqī raaz meñ pahle thī na ab raaz meñ hai
bāzgasht us kī to har daur kī āvāz meñ hai
jo azal meñ thā vahī naġhma yahāñ saaz meñ hai
sirf ye farq hai ab daur kī āvāz meñ hai
ajnabiyyat tire lahje tirī āvāz meñ hai
aaj tū mujh se muḳhātib ye kis andāz meñ hai
itnā ehsās hai jo kuchh huuñ tujhī se huuñ magar
ḳhud maiñ kyā huuñ ye haqīqat to abhī raaz meñ hai
phailnā bhī mujhe aatā hai simaTnā bhī mujhe
mere anjām kī takmīl bhī āġhāz meñ hai
yuuñ to har ek adā husn kī dilkash hai magar
husn kī ruuh nigāh-e-ġhalat-andāz meñ hai
ek hi naghma kabhi soz kabhi saz mein hai
aisa eajaz faqat waqt ki aawaz mein hai
aashiqi raaz mein pahle thi na ab raaz mein hai
bazgasht us ki to har daur ki aawaz mein hai
jo azal mein tha wahi naghma yahan saz mein hai
sirf ye farq hai ab daur ki aawaz mein hai
ajnabiyyat tere lahje teri aawaz mein hai
aaj tu mujh se muKHatib ye kis andaz mein hai
itna ehsas hai jo kuchh hun tujhi se hun magar
KHud main kya hun ye haqiqat to abhi raaz mein hai
phailna bhi mujhe aata hai simaTna bhi mujhe
mere anjam ki takmil bhi aaghaz mein hai
yun to har ek ada husn ki dilkash hai magar
husn ki ruh nigah-e-ghalat-andaz mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.