ek hi pal mein hua aankh se manzar ghaeb
ek hī pal meñ huā aañkh se manzar ġhā.eb
ret hī ret rahī aur samundar ġhā.eb
sab ke chehre pe hañsī khel rahī hai lekin
sab ke chehre hī nazar aate haiñ paikar ġhā.eb
kaun haiñ log yahāñ kin kī paḌī haiñ lāsheñ
jism hī jism ke ambār haiñ aur sar ġhā.eb
kaun vishvās karegā maiñ batā.ūñ kis ko
merā maiñ ho gayā hai mere hī andar ġhā.eb
zaḳhm aisā hai ki dikhtā hai badan 'shams' tamām
dil ki jaltā huā nāsūr hai nashtar ġhā.eb
ek hi pal mein hua aankh se manzar ghaeb
ret hi ret rahi aur samundar ghaeb
sab ke chehre pe hansi khel rahi hai lekin
sab ke chehre hi nazar aate hain paikar ghaeb
kaun hain log yahan kin ki paDi hain lashen
jism hi jism ke ambar hain aur sar ghaeb
kaun wishwas karega main bataun kis ko
mera main ho gaya hai mere hi andar ghaeb
zaKHm aisa hai ki dikhta hai badan 'shams' tamam
dil ki jalta hua nasur hai nashtar ghaeb
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.