ek hi shamma se har shamma jalai jae
ek hī shamma se har shamma jalā.ī jaa.e
ye kahānī sabhī logoñ ko sunā.ī jaa.e
jis ko andāzā nahīñ raah kī dushvārī kā
aise nādān ko kyā raah dikhā.ī jaa.e
nafrat-o-buġhz ho yā ḳhūn-ḳharāba yā-rab
ab mire mulk se har ek burā.ī jaa.e
sarhadī gāñdhī thā baapū ke vafādāroñ meñ
aaj ke bachchoñ ko ye baat batā.ī jaa.e
muskurāte hue haq baat sar-e-bazm kaho
ye bhī mumkin hai ki āvāz dabā.ī jaa.e
ham meñ zinda hai vafā aaj bhī 'shā.ista-jamāl’
ye kahānī na.e lahja meñ sunā.ī jaa.e
ek hi shamma se har shamma jalai jae
ye kahani sabhi logon ko sunai jae
jis ko andaza nahin rah ki dushwari ka
aise nadan ko kya rah dikhai jae
nafrat-o-bughz ho ya KHun-KHaraba ya-rab
ab mere mulk se har ek burai jae
sarhadi gandhi tha bapu ke wafadaron mein
aaj ke bachchon ko ye baat batai jae
muskuraate hue haq baat sar-e-bazm kaho
ye bhi mumkin hai ki aawaz dabai jae
hum mein zinda hai wafa aaj bhi 'shaista-jamal’
ye kahani nae lahja mein sunai jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.