ek hi waqt mein ek jaisi tan-asani mein
ek hī vaqt meñ ik jaisī tan-āsānī meñ
ham baġhal-gīr hue bhī to pareshānī meñ
kākul-afshānī tahayyur kā sabab hai terī
baaġh kā baaġh bhī hai nashsha-e-hairānī meñ
ik alag vaz' meñ rahne kā salīqa hai hameñ
log to jaañ se chale jaate haiñ vīrānī meñ
us kī tasvīr uThā letā huuñ jaate jaate
kuchh to sāmān ho is be-sar-o-sāmānī meñ
kaif mat pūchhiye yuuñ ham se zabūñ-hālī kā
mauj hī mauj hai is chāk-garebānī meñ
irtiqā hai ki ba-tadrīj piye jaatā huuñ
sirf nashsha hī nahīñ hotā farāvānī meñ
aur hī husn-e-nihāyat ko pahuñch jaatā huuñ
tum ne dekhā hī nahīñ mujh ko pareshānī meñ
ek hi waqt mein ek jaisi tan-asani mein
hum baghal-gir hue bhi to pareshani mein
kakul-afshani tahayyur ka sabab hai teri
bagh ka bagh bhi hai nashsha-e-hairani mein
ek alag waz' mein rahne ka saliqa hai hamein
log to jaan se chale jate hain virani mein
us ki taswir uTha leta hun jate jate
kuchh to saman ho is be-sar-o-samani mein
kaif mat puchhiye yun hum se zabun-haali ka
mauj hi mauj hai is chaak-garebani mein
irtiqa hai ki ba-tadrij piye jata hun
sirf nashsha hi nahin hota farawani mein
aur hi husn-e-nihayat ko pahunch jata hun
tum ne dekha hi nahin mujh ko pareshani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.