ek ek baat ka pata hai mujhe
ek ik baat kā patā hai mujhe
saare hālāt kā patā hai mujhe
maiñ ne dekhe haiñ sab nasheb-o-farāz
jiit aur maat kā patā hai mujhe
apnī kamzoriyoñ se vāqif huuñ
apnī auqāt kā patā hai mujhe
tū abhī manzil-e-gumān meñ hai
tere shub.hāt kā patā hai mujhe
be-sukūnī nazar meñ hai terī
tere din raat kā patā hai mujhe
haath hai ek zaat kā mujh par
aur us zaat kā patā hai mujhe
ek ek baat ka pata hai mujhe
sare haalat ka pata hai mujhe
main ne dekhe hain sab nasheb-o-faraaz
jit aur mat ka pata hai mujhe
apni kamzoriyon se waqif hun
apni auqat ka pata hai mujhe
tu abhi manzil-e-guman mein hai
tere shubhat ka pata hai mujhe
be-sukuni nazar mein hai teri
tere din raat ka pata hai mujhe
hath hai ek zat ka mujh par
aur us zat ka pata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.