ek ek zarre ko jauhar-ashna maine kiya
ek ik zarre ko jauhar-āshnā maiñ ne kiyā
sho’lagī ke band darvāzoñ ko vā maiñ ne kiyā
thī sarā-e-shām meñ saf tīrgī kī jā-ba-jā
Daal kar shab-ḳhūn kār-e-be-bahā maiñ ne kiyā
maiñ ne 'ālam ko kiyā rāz-āshnā-e-kā.enāt
dīda-o-nādīda sab kuchh zer-e-pā maiñ ne kiyā
chāñd tāroñ se bhī aage pheñk dī maiñ ne kamand
ḳhaak ko masnad-nashīn-e-muntahā maiñ ne kiyā
munkashif pahle kiye kuchh lams-e-lazzat ke rumūz
phir sharāb-e-vasl ko do-ātisha maiñ ne kiyā
dekh kar auj-e-tajallī āñkheñ ḳhīra ho ga.iiñ
jis ghaḌī duniyā pe ḳhud ko aa.ina maiñ ne kiyā
maiñ ne qudrat se liyā husn-e-do-‘ālam kā sabaq
sho'la-e-taḳhrīb ko be-mājrā maiñ ne kiyā
vaz' kar ke āstān-e-yār par marne ke Dhang
qissa-e-dār-o-rasan ko be-maza maiñ ne kiyā
ek ek zarre ko jauhar-ashna main ne kiya
sho’lagi ke band darwazon ko wa main ne kiya
thi sara-e-sham mein saf tirgi ki ja-ba-ja
Dal kar shab-KHun kar-e-be-baha main ne kiya
main ne 'alam ko kiya raaz-ashna-e-kaenat
dida-o-nadida sab kuchh zer-e-pa main ne kiya
chand taron se bhi aage phenk di main ne kamand
KHak ko masnad-nashin-e-muntaha main ne kiya
munkashif pahle kiye kuchh lams-e-lazzat ke rumuz
phir sharab-e-wasl ko do-atisha main ne kiya
dekh kar auj-e-tajalli aankhen KHira ho gain
jis ghaDi duniya pe KHud ko aaina main ne kiya
main ne qudrat se liya husn-e-do-‘alam ka sabaq
sho'la-e-taKHrib ko be-majra main ne kiya
waz' kar ke aastan-e-yar par marne ke Dhang
qissa-e-dar-o-rasan ko be-maza main ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.