ek imkan kahin dil ne bacha rakkha hai
ek imkān kahīñ dil ne bachā rakkhā hai
is tarah hijr ko āsān banā rakkhā hai
dhuup aatī bhī agar hai to Darī sahmī sī
rut kā chehra kisī birhan sā huā rakkhā hai
lafz meñ Dhal ke to tasvīr badal jā.egī
is liye dukh ko kaleje se lagā rakkhā hai
giit gulzār ke yādeñ tirī aañsū mere
maiñ ne sab hijr kā sāmān juTā rakkhā hai
ham to kahte hī vahī haiñ jo use sunñā hai
us ne māhaul hī kuchh aisā banā rakkhā hai
dekhne bhar se tujhe saarī thakan miTtī hai
maiñ ne ai phuul tirā naam shifā rakkhā hai
ik ta'alluq sā banā rahtā hai ḳhud se merā
varna is qāfiya-paimā.ī meñ kyā rakkhā hai
ek imkan kahin dil ne bacha rakkha hai
is tarah hijr ko aasan bana rakkha hai
dhup aati bhi agar hai to Dari sahmi si
rut ka chehra kisi birhan sa hua rakkha hai
lafz mein Dhal ke to taswir badal jaegi
is liye dukh ko kaleje se laga rakkha hai
git gulzar ke yaaden teri aansu mere
main ne sab hijr ka saman juTa rakkha hai
hum to kahte hi wahi hain jo use sunna hai
us ne mahaul hi kuchh aisa bana rakkha hai
dekhne bhar se tujhe sari thakan miTti hai
main ne ai phul tera nam shifa rakkha hai
ek ta'alluq sa bana rahta hai KHud se mera
warna is qafiya-paimai mein kya rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.