ek jaise hain duniya mein kab aadmi
ek jaise haiñ duniyā meñ kab aadmī
maiñ 'ajīb aadmī vo 'ajab aadmī
bheḌiye shahr meñ aa ke kahne lage
hū-bahū apne jaise haiñ sab aadmī
us ne patthar ko sajda kiyā thā kabhī
aa ke rotā hai ab puurī shab aadmī
bhuuk se marne vāloñ kā thā ye savāl
bhuuk se jaañ chhuḌā.egā kab aadmī
chīḳh sun ke bhī ab koī ruktā nahīñ
ḳhud meñ Duube guzarte haiñ sab aadmī
us se kahnā ki 'tauqīr' jaisā tujhe
mil na pā.egā bastī meñ ab aadmī
ek jaise hain duniya mein kab aadmi
main 'ajib aadmi wo 'ajab aadmi
bheDiye shahr mein aa ke kahne lage
hu-bahu apne jaise hain sab aadmi
us ne patthar ko sajda kiya tha kabhi
aa ke rota hai ab puri shab aadmi
bhuk se marne walon ka tha ye sawal
bhuk se jaan chhuDaega kab aadmi
chiKH sun ke bhi ab koi rukta nahin
KHud mein Dube guzarte hain sab aadmi
us se kahna ki 'tauqir' jaisa tujhe
mil na paega basti mein ab aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.