ek jaise hain zamane ke pareshan-surat
ek jaise haiñ zamāne ke pareshāñ-surat
vahī vīrāni-e-dil aur vahī vīrāñ sūrat
muntazir baiThe haiñ ik umr se ham tīra-nasīb
shāyad aa jaa.e koī shaam charāġhāñ-sūrat
kab talak dekhiye is ziist ke ā.īne meñ
vahī tanzīl-e-havādis vahī hairāñ sūrat
ne.amateñ jab huiiñ taqsīm sar-e-roz-e-azal
ek gulshan milā ham ko bhī bayābāñ-sūrat
ham ne aise bhī chaman dekhe haiñ is aalam meñ
fasl-e-gul meñ jo nazar aa.eñ zamistāñ-sūrat
rind-e-be-fikr kī mānind phire āvāra
vahī afsurdagi-e-dil vahī ḳhandāñ-sūrat
ham ye kis kārgah-e-shīshagarāñ ke haiñ asiir
jahāñ har banda nazar aatā hai yazdāñ-sūrat
zinda rahne ke hunar ham ne vahīñ se sīkhe
dard bhī ham ko milā vo jo hai darmāñ-sūrat
kisht-e-jāñ tishna hai ik umr se shāyad koī
abr aa jaa.e idhar dīda-e-bārāñ sūrat
haram-o-dair kī rāhoñ se shanāsā haiñ 'urūj'
ham ne kāfir bahut dekhe haiñ musalmāñ-sūrat
ek jaise hain zamane ke pareshan-surat
wahi virani-e-dil aur wahi viran surat
muntazir baiThe hain ek umr se hum tira-nasib
shayad aa jae koi sham charaghan-surat
kab talak dekhiye is zist ke aaine mein
wahi tanzil-e-hawadis wahi hairan surat
neamaten jab huin taqsim sar-e-roz-e-azal
ek gulshan mila hum ko bhi bayaban-surat
hum ne aise bhi chaman dekhe hain is aalam mein
fasl-e-gul mein jo nazar aaen zamistan-surat
rind-e-be-fikr ki manind phire aawara
wahi afsurdagi-e-dil wahi KHandan-surat
hum ye kis kargah-e-shishagaran ke hain asir
jahan har banda nazar aata hai yazdan-surat
zinda rahne ke hunar hum ne wahin se sikhe
dard bhi hum ko mila wo jo hai darman-surat
kisht-e-jaan tishna hai ek umr se shayad koi
abr aa jae idhar dida-e-baran surat
haram-o-dair ki rahon se shanasa hain 'uruj'
hum ne kafir bahut dekhe hain musalman-surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.