ek juz lafz-o-maani mein nahin rahne diya
ek juz lafz-o-ma'ānī meñ nahīñ rahne diyā
koī kirdār kahānī meñ nahīñ rahne diyā
yā to takmīl huī yā to rasan-dar-hulqūm
ḳhvāb ko naql-e-makānī meñ nahīñ rahne diyā
kal-kalāñ uḌne ko hai aaj hī uḌ jaa.e ye sar
koī kam sho'la-bayānī meñ nahīñ rahne diyā
jaan jaatī thī so jaane dī zarā bhī nuqsān
koī dam faiz-rasānī meñ nahīñ rahne diyā
yā to ḳhāmosh hue yā to barahna-shamshīr
ḳhud ko Tuk resha-davānī meñ nahīñ rahne diyā
aañkh dikhlā.ī shahanshah ko kaTā dī gardan
'aql ko ham ne javānī meñ nahīñ rahne diyā
ātish-e-dil se kiyā zāġh-e-ḳhirad ḳhākistar
but ko is qaid-e-makānī meñ nahīñ rahne diyā
ek juz lafz-o-ma'ani mein nahin rahne diya
koi kirdar kahani mein nahin rahne diya
ya to takmil hui ya to rasan-dar-hulqum
KHwab ko naql-e-makani mein nahin rahne diya
kal-kalan uDne ko hai aaj hi uD jae ye sar
koi kam sho'la-bayani mein nahin rahne diya
jaan jati thi so jaane di zara bhi nuqsan
koi dam faiz-rasani mein nahin rahne diya
ya to KHamosh hue ya to barahna-shamshir
KHud ko Tuk resha-dawani mein nahin rahne diya
aankh dikhlai shahanshah ko kaTa di gardan
'aql ko hum ne jawani mein nahin rahne diya
aatish-e-dil se kiya zagh-e-KHirad KHakistar
but ko is qaid-e-makani mein nahin rahne diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.