ek kaif-o-masti ki zindagi hai shishe mein
ek kaif-o-mastī kī zindagī hai shīshe meñ
kis ne mai nigāhoñ kī Dhaal dī hai shīshe meñ
kaun ab tasallī de kaun mere kaam aa.e
jab hayāt ḳhud merī Dhal ga.ī hai shīshe meñ
ġham-nigāh kyā jaane āñsuoñ ke Dhalne se
raushnī tabassum meñ dilkashī hai shīshe meñ
nuqra.ī tabassum meñ kaifiyat hai naġhmoñ kī
jhūmte haiñ paimāne naġhmagī hai shīshe meñ
itne kyoñ pareshāñ ho sāġhar-e-shikasta se
zindagī kī rā'nā.ī aaj bhī hai shīshe meñ
ahl-e-aql-o-dānish kī baat ye agar sach hai
be-ḳhudī hai baade meñ āgahī hai shīshe meñ
baat ishq-o-mastī kī maiñ ne chheḌ dī 'anvar'
sāgaroñ meñ sahbā hai shā'irī hai shīshe meñ
ek kaif-o-masti ki zindagi hai shishe mein
kis ne mai nigahon ki Dhaal di hai shishe mein
kaun ab tasalli de kaun mere kaam aae
jab hayat KHud meri Dhal gai hai shishe mein
gham-nigah kya jaane aansuon ke Dhalne se
raushni tabassum mein dilkashi hai shishe mein
nuqrai tabassum mein kaifiyat hai naghmon ki
jhumte hain paimane naghmagi hai shishe mein
itne kyon pareshan ho saghar-e-shikasta se
zindagi ki ra'nai aaj bhi hai shishe mein
ahl-e-aql-o-danish ki baat ye agar sach hai
be-KHudi hai baade mein aagahi hai shishe mein
baat ishq-o-masti ki main ne chheD di 'anwar'
sagaron mein sahba hai sha'iri hai shishe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.