ek kamre mein hon yakja main jawani aur tum
ek kamre meñ hoñ yakjā maiñ javānī aur tum
shām-e-tanhā.ī ḳhudā kī mehrbānī aur tum
ab samajh meñ aa.e fitrat ke ma.ānī aur tum
jis tarah bahte hue chashme kā paanī aur tum
zindagī meñ chaar chīzeñ raas aa.ī haiñ mujhe
dil-lagī āvāragardī chheḌ-ḳhāni aur tum
vo siyāsat kī alāmat tum mohabbat kī dalīl
donoñ me.ār-e-vafā haiñ rājdhānī aur tum
zehn ke nāzuk darīchoñ meñ hai tābinda abhī
chañd yādeñ chañd tasvīreñ purānī aur tum
ek kamre mein hon yakja main jawani aur tum
sham-e-tanhai KHuda ki mehrbani aur tum
ab samajh mein aae fitrat ke maani aur tum
jis tarah bahte hue chashme ka pani aur tum
zindagi mein chaar chizen ras aai hain mujhe
dil-lagi aawaragardi chheD-KHani aur tum
wo siyasat ki alamat tum mohabbat ki dalil
donon mear-e-wafa hain rajdhani aur tum
zehn ke nazuk darichon mein hai tabinda abhi
chand yaaden chand taswiren purani aur tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.