ek karwaT bhi agar sote to nind aa jati
ek karvaT bhī agar sote to niiñd aa jaatī
ġham mire saath nahīñ hote to niiñd aa jaatī
dhoka de jātīñ hameñ ġhair-munāsib āñkheñ
ham agar dil se nahīñ rote to niiñd aa jaatī
ham judā.ī ke nahūsat-bhare paanī se agar
apnī āñkhoñ ko nahīñ dhote to niiñd aa jaatī
zehn se jis ko khurachne meñ lagā.ī ik umr
ham agar dil se use khote to niiñd aa jaatī
baiTh kar shahr ke fōt-pāth pe ham sochte haiñ
ghar ke hote nahīñ iklaute to niiñd aa jaatī
apnī vahshat-zada āñkhoñ kī zamīñ par ham log
ḳhvāb pechīda nahīñ bote to niiñd aa jaatī
'faiz' duniyā ke jo an-dekhe janāze haiñ sabhī
apne kāñdhoñ pe na ham Dhote to niiñd aa jaatī
ek karwaT bhi agar sote to nind aa jati
gham mere sath nahin hote to nind aa jati
dhoka de jatin hamein ghair-munasib aankhen
hum agar dil se nahin rote to nind aa jati
hum judai ke nahusat-bhare pani se agar
apni aankhon ko nahin dhote to nind aa jati
zehn se jis ko khurachne mein lagai ek umr
hum agar dil se use khote to nind aa jati
baiTh kar shahr ke foot-path pe hum sochte hain
ghar ke hote nahin iklaute to nind aa jati
apni wahshat-zada aankhon ki zamin par hum log
KHwab pechida nahin bote to nind aa jati
'faiz' duniya ke jo an-dekhe janaze hain sabhi
apne kandhon pe na hum Dhote to nind aa jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.