ek kashti-kaghzi par ghaur-o-KHauz
ek kashtī-kāġhzī par ġhaur-o-ḳhauz
hogā merī sādgī par ġhaur-o-ḳhauz
ādmiyyat kā nishāñ miTtā gayā
ho rahā hai aadmī par ġhaur-o-ḳhauz
jo muḳhālif the mire karte haiñ vo
aaj merī shā'irī par ġhaur-o-ḳhauz
muflisoñ se koī hamdardī nahīñ
kis liye hai muflisī par ġhaur-o-ḳhauz
kaun behtar hai ye 'unvāñ chhoḌ kar
kaash hotā behtarī par ġhaur-o-ḳhauz
aa.iye karte haiñ be-jañg-o-jadal
bāhamī rassa-kashī par ġhaur-o-ḳhauz
be-basoñ kā zehn tak mā.ūf thā
kaun kartā bebasī par ġhaur-o-ḳhauz
ek kashti-kaghzi par ghaur-o-KHauz
hoga meri sadgi par ghaur-o-KHauz
aadmiyyat ka nishan miTta gaya
ho raha hai aadmi par ghaur-o-KHauz
jo muKHalif the mere karte hain wo
aaj meri sha'iri par ghaur-o-KHauz
muflison se koi hamdardi nahin
kis liye hai muflisi par ghaur-o-KHauz
kaun behtar hai ye 'unwan chhoD kar
kash hota behtari par ghaur-o-KHauz
aaiye karte hain be-jang-o-jadal
bahami rassa-kashi par ghaur-o-KHauz
be-bason ka zehn tak mauf tha
kaun karta bebasi par ghaur-o-KHauz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.