ek lahza na gham-e-sud-o-ziyan humne kiya
ek lahza na ġham-e-sūd-o-ziyāñ ham ne kiyā
mausam-e-hijr meñ ye kār-e-garāñ ham ne kiyā
ye zamīñ saḳht thī as.hāb-e-mohabbat ke liye
chashma-e-ashk yahāñ kaise ravāñ ham ne kiyā
kaisī vīrānī thī ham jis meñ khilāte rahe phuul
kyā ayaañ thā jise har roz nihāñ ham ne kiyā
ham ne jo kuchh bhī kiyā ġham ke havāle se kiyā
yuuñ nahīñ kār-e-junūñ rah-guzrāñ ham ne kiyā
zindagī terī jabīñ yūñhī chamaktī rah jaa.e
us pe ek chāñd sajāne kā gumāñ ham ne kiyā
ek lahza na gham-e-sud-o-ziyan hum ne kiya
mausam-e-hijr mein ye kar-e-garan hum ne kiya
ye zamin saKHt thi ashab-e-mohabbat ke liye
chashma-e-ashk yahan kaise rawan hum ne kiya
kaisi virani thi hum jis mein khilate rahe phul
kya ayan tha jise har roz nihan hum ne kiya
hum ne jo kuchh bhi kiya gham ke hawale se kiya
yun nahin kar-e-junun rah-guzran hum ne kiya
zindagi teri jabin yunhi chamakti rah jae
us pe ek chand sajaane ka guman hum ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.