ek lamhe ko taza hawa jo chali umr bhar ki ghuTan ka KHayal aa gaya
ek lamhe ko taza hawa jo chali umr bhar ki ghuTan ka KHayal aa gaya
Sadiya Roshan Siddiqui
MORE BYSadiya Roshan Siddiqui
ek lamhe ko taaza havā jo chalī umr bhar kī ghuTan kā ḳhayāl aa gayā
laakh mushkil sahī zabt karnā magar ab to ḳhāsā hameñ ye kamāl aa gayā
jitnī kaliyāñ khilīñ jitne taare khile us kī aamad ke sab isti.āre khile
jab tasavvur ke dāman meñ kuchh na bachā mere pahlū meñ vo be-misāl aa gayā
bāt-be-bāt kaj-bahsiyāñ bhī ga.iiñ vo purānī shakar-ranjiyāñ bhī ga.iiñ
ab na.ī shāḳh phūTī hai dil meñ mire ġham kā tāza-ba-tāza nihāl aa gayā
hāl-o-māzī mirā ek jaisā rahā agle mausam ke ḳhvāboñ kā kyā fā.eda
us ko fursat javāboñ kī thī hī nahīñ mere lab pe ye kaise savāl aa gayā
ham ne sochā thā us se na shikva kareñ jo guzartī hai dil pe vo ḳhud hī saheñ
baat jab bhī badaltī rutoñ kī huī apne lahje meñ goyā malāl aa gayā
ik tinke kā mujh ko sahārā mile merī vahshat ko ab ik kināra mile
Dūbte Dūbte saañs le luuñ zarā zindagī kā bhī āḳhir ḳhayāl aa gayā
chāñd thā vo ufuq par chamaktā rahā aur sūraj banā to saroñ pe rahā
kaise qurbat pe vo aaj maa.il huā shāyad us kā bhī vaqt-e-zavāl aa gayā
jaan pahchān kā silsila bhī gayā dil kā tā.ūs bhī raqs-farmā huā
vo jo hairat-zada but banā thā khaḌā ab to us ko bhī goyā dhamāl aa gayā
ek lamhe ko taza hawa jo chali umr bhar ki ghuTan ka KHayal aa gaya
lakh mushkil sahi zabt karna magar ab to KHasa hamein ye kamal aa gaya
jitni kaliyan khilin jitne tare khile us ki aamad ke sab istiare khile
jab tasawwur ke daman mein kuchh na bacha mere pahlu mein wo be-misal aa gaya
baat-be-baat kaj-bahsiyan bhi gain wo purani shakar-ranjiyan bhi gain
ab nai shaKH phuTi hai dil mein mere gham ka taza-ba-taza nihaal aa gaya
haal-o-mazi mera ek jaisa raha agle mausam ke KHwabon ka kya faeda
us ko fursat jawabon ki thi hi nahin mere lab pe ye kaise sawal aa gaya
hum ne socha tha us se na shikwa karen jo guzarti hai dil pe wo KHud hi sahen
baat jab bhi badalti ruton ki hui apne lahje mein goya malal aa gaya
ek tinke ka mujh ko sahaara mile meri wahshat ko ab ek kinara mile
Dubte Dubte sans le lun zara zindagi ka bhi aaKHir KHayal aa gaya
chand tha wo ufuq par chamakta raha aur suraj bana to saron pe raha
kaise qurbat pe wo aaj mail hua shayad us ka bhi waqt-e-zawal aa gaya
jaan pahchan ka silsila bhi gaya dil ka taus bhi raqs-farma hua
wo jo hairat-zada but bana tha khaDa ab to us ko bhi goya dhamal aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.