ek machhli jo martaban mein hai
ek machhlī jo martabān meñ hai
koī dariyā bhī us ke dhyān meñ hai
teġh jauhar dikhā ke myaan meñ hai
jiit ke jashn kī thakān meñ hai
bādaloñ ne likhī hai nazm koī
ye jo tasvīr āsmān meñ hai
TūTte dekhe haiñ sitāre bhī
aadmī jaane kis gumān meñ hai
dushmanī bhī tirī 'azīz hai dost
koī rishta to darmiyān meñ hai
yaar chhoḌo atiit kī bāteñ
jo bhī kuchh hai vo vartamān meñ hai
'nāz' ab bhī rivāyatoñ kī mahak
'nūr' sāhab ke ḳhāndān meñ hai
ek machhli jo martaban mein hai
koi dariya bhi us ke dhyan mein hai
tegh jauhar dikha ke myan mein hai
jit ke jashn ki thakan mein hai
baadalon ne likhi hai nazm koi
ye jo taswir aasman mein hai
TuTte dekhe hain sitare bhi
aadmi jaane kis guman mein hai
dushmani bhi teri 'aziz hai dost
koi rishta to darmiyan mein hai
yar chhoDo atit ki baaten
jo bhi kuchh hai wo wartaman mein hai
'naz' ab bhi riwayaton ki mahak
'nur' sahab ke KHandan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.