ek main aur ek qamar jage
ek maiñ aur ik qamar jaage
kyā zarūrī thā har pahar jaage
āsmānī balā.eñ nāzil kar
ai ḳhudā dil meñ terā Dar jaage
niiñd aa jaa.e biite qissoñ ko
har sahar ik na.ī ḳhabar jaage
kaun hai vo jo ḳhvāb ban ban kar
merī āñkhoñ meñ raat bhar jaage
ik safar hai mohabbatoñ kā jahāñ
paañv so jaa.eñ rahguzar jaage
jab zarā maañd ho thakan to 'hanīf'
mujh meñ phir jazba-e-safar jaage
ek main aur ek qamar jage
kya zaruri tha har pahar jage
aasmani balaen nazil kar
ai KHuda dil mein tera Dar jage
nind aa jae bite qisson ko
har sahar ek nai KHabar jage
kaun hai wo jo KHwab ban ban kar
meri aankhon mein raat bhar jage
ek safar hai mohabbaton ka jahan
panw so jaen rahguzar jage
jab zara mand ho thakan to 'hanif'
mujh mein phir jazba-e-safar jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.