ek manzar iztirabi ek manzar se ziyaada
ek manzar iztirābī ek manzar se ziyāda
dil hai sāhil dil safīna dil samundar se ziyāda
do jahāñ kī ne.amatoñ ko do badan se zarb de kar
ek lamha māñgtā huuñ banda-parvar se ziyāda
ai but-e-tauba-shikan maiñ tujh se mil kar sochtā huuñ
phuul meñ hotī nazākat kaash patthar se ziyāda
hasrat-e-shahr-e-nasībāñ kyā tujhe ma.alūm bhī hai
dasht hai ābād ya.anī ishq ke ghar se ziyāda
chashm-o-lab se pahle ik tishna ta.alluq chāhtā huuñ
aur phir āsūdgī tasnīm-o-kausar se ziyāda
ek larzīda fazā hai ās.māñ kī vus.atoñ meñ
ik parinda uḌ rahā hai apne shah-par se ziyāda
bastiyoñ ke log saare barf hote jā rahe haiñ
be-ruḳhī achchhī nahīñ 'ḳhurshīd-akbar' se ziyāda
ek manzar iztirabi ek manzar se ziyaada
dil hai sahil dil safina dil samundar se ziyaada
do jahan ki neamaton ko do badan se zarb de kar
ek lamha mangta hun banda-parwar se ziyaada
ai but-e-tauba-shikan main tujh se mil kar sochta hun
phul mein hoti nazakat kash patthar se ziyaada
hasrat-e-shahr-e-nasiban kya tujhe malum bhi hai
dasht hai aabaad yani ishq ke ghar se ziyaada
chashm-o-lab se pahle ek tishna talluq chahta hun
aur phir aasudgi tasnim-o-kausar se ziyaada
ek larzida faza hai aasman ki wusaton mein
ek parinda uD raha hai apne shah-par se ziyaada
bastiyon ke log sare barf hote ja rahe hain
be-ruKHi achchhi nahin 'KHurshid-akbar' se ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.