ek mausam hai teri yaad ka kho jaane de
ek mausam hai tirī yaad kā kho jaane de
dhuup ke paañv thake haiñ zarā so jaane de
tark-e-ulfat se kiyā maiñ ne safar kā āġhāz
rāste dasht meñ kho jaa.eñ to kho jaane de
jhiil meñ aks vahī hai jo nazar aatā hai
aañkh pur-nam ho sar-e-bazm to ho jaane de
shaam le aa.ī hai phir shahr ke kūchoñ se pare
dil kī vīrāniyāñ vahshat meñ samo jaane de
dūr-andesh hai dīvāngī dil kī jānam
naam rusvā ho tire saath to ho jaane de
raat ne hijr kī tamhīd likhī hai dil par
chehra-e-ḳhvāb ko ashkoñ meñ Dubo jaane de
ek mausam hai teri yaad ka kho jaane de
dhup ke panw thake hain zara so jaane de
tark-e-ulfat se kiya main ne safar ka aaghaz
raste dasht mein kho jaen to kho jaane de
jhil mein aks wahi hai jo nazar aata hai
aankh pur-nam ho sar-e-bazm to ho jaane de
sham le aai hai phir shahr ke kuchon se pare
dil ki viraniyan wahshat mein samo jaane de
dur-andesh hai diwangi dil ki jaanam
nam ruswa ho tere sath to ho jaane de
raat ne hijr ki tamhid likhi hai dil par
chehra-e-KHwab ko ashkon mein Dubo jaane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.