ek mear pe rahta hai yahan hir ka dukh
ek me.aar pe rahtā hai yahāñ hiir kā dukh
kaun dekhegā tire dil meñ dhañse tiir kā dukh
yahī kāran hai mire pair dukhī rahne lage
mere pairoñ se thā kal āshnā zanjīr kā dukh
tū ye kahtā hai ki maiñ der se aatā huuñ sadā
chhoḌ duuñ kyā maiñ bhī sunñā batā tāḳhīr kā dukh
mujh ko lagtā hai ki tabdīl na kuchh hogā yahāñ
gar batā bhī de ye taqdīr jo taqdīr kā dukh
ye namī dekh lo dīvār meñ ghar kartī huī
bah ke dīvār pe aane lagā tasvīr kā dukh
ek mear pe rahta hai yahan hir ka dukh
kaun dekhega tere dil mein dhanse tir ka dukh
yahi karan hai mere pair dukhi rahne lage
mere pairon se tha kal aashna zanjir ka dukh
tu ye kahta hai ki main der se aata hun sada
chhoD dun kya main bhi sunna bata taKHir ka dukh
mujh ko lagta hai ki tabdil na kuchh hoga yahan
gar bata bhi de ye taqdir jo taqdir ka dukh
ye nami dekh lo diwar mein ghar karti hui
bah ke diwar pe aane laga taswir ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.