Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek meri jaan mein aur ek lahar sahraon mein thi

Najeeb Ahmad

ek meri jaan mein aur ek lahar sahraon mein thi

Najeeb Ahmad

MORE BYNajeeb Ahmad

    ek merī jaañ meñ aur ik lahar sahrāoñ meñ thī

    kuchh nukīle sañg the kuchh ret dariyāoñ meñ thī

    kyā huā vo garm dopahroñ meñ yaḳh honā mirā

    kyā huī vo dhuup lazzat ki jo chhāñv meñ thī

    kyā ḳhabar kyā jism the kyuuñ mauj-e-sahrā ho ga.e

    kyā batā.eñ kis balā guuñj dariyāoñ meñ thī

    shahr vaale kab ke mahrūm-e-basārat ho chuke

    ratjage rasm to bas aañkh ke gaañv meñ thī

    apne saudā ke liye ye izzat-e-sañg-e-rasā

    kuchh adū ke haath meñ kuchh apnī rekhāoñ meñ thī

    ab to jismoñ meñ lahū buuñd tak baaqī nahīñ

    phir bhī ham ko lūTne hirs āqāoñ meñ thī

    agar āzād lamhoñ payambar hai 'najīb'

    raat zanjīr kyuuñ phir vaqt ke paañv meñ thī

    ek meri jaan mein aur ek lahar sahraon mein thi

    kuchh nukile sang the kuchh ret dariyaon mein thi

    kya hua wo garm dopahron mein yaKH hona mera

    kya hui wo dhup si lazzat ki jo chhanw mein thi

    kya KHabar kya jism the kyun mauj-e-sahra ho gae

    kya bataen kis bala ki gunj dariyaon mein thi

    shahr wale kab ke mahrum-e-basarat ho chuke

    ratjage ki rasm to bas aankh ke ganw mein thi

    apne sauda ke liye ye izzat-e-sang-e-rasa

    kuchh adu ke hath mein kuchh apni rekhaon mein thi

    ab to jismon mein lahu ki bund tak baqi nahin

    phir bhi hum ko luTne ki hirs aaqaon mein thi

    tu agar aazad lamhon ka payambar hai 'najib'

    raat ki zanjir kyun phir waqt ke panw mein thi

    Source :
    • Book : Urdu Adab (Pg. 67)
    • Author : Iqbal Hussain
    • Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996)
    • Edition : Jan, Feb. Mar 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now