ek miThi si kasak jag uThi hai man mein
ek mīThī sī kasak jaag uThī hai man meñ
yaad phir se mujhe ik ḳhvāb purānā aayā
aaj maiñ āhanī dīvār se Takrā jā.ūñ
aaj ik dost mujhe dene dilāsā aayā
aap ne ham ko abhī Thiik se jaanā kab hai
vaar ye āḳhirī hogā agar ochhā aayā
maanā dushvār sahī phir bhī kareñ kyā āḳhir
tere ghar tak agar aayā yahī rasta aayā
tū to paañv meñ liye phirtā hai manzil lekin
ham ko bas ek tirā rāsta taknā aayā
'sā.ima' ḳhatm hue uzr ta.alluq ke tamām
ajnabī ban ke vo derīna shanāsā aayā
ek miThi si kasak jag uThi hai man mein
yaad phir se mujhe ek KHwab purana aaya
aaj main aahani diwar se Takra jaun
aaj ek dost mujhe dene dilasa aaya
aap ne hum ko abhi Thik se jaana kab hai
war ye aaKHiri hoga agar ochha aaya
mana dushwar sahi phir bhi karen kya aaKHir
tere ghar tak agar aaya yahi rasta aaya
tu to panw mein liye phirta hai manzil lekin
hum ko bas ek tera rasta takna aaya
'saima' KHatm hue uzr talluq ke tamam
ajnabi ban ke wo derina shanasa aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.