ek muddat se bahut chiKH raha hai mujh mein
ek muddat se bahut chīḳh rahā hai mujh meñ
dard-e-furqat kā koī maarā huā hai mujh meñ
kaise kah duuñ ki nahīñ ḳhāna-e-dil meñ koī
roz-e-avval se makīñ merā ḳhudā hai mujh meñ
koī pur-shor bayābāñ kī sadā hai mujh meñ
maiñ ta.alluq ko nibhāne kā hunar jāntā huuñ
phir bhī rūThā huā hamrāz mirā hai mujh meñ
kaise maiñ hāl-e-dil-e-zār batā.ūñ sab ko
ik ajab tarah kā tūfān bapā hai mujh meñ
ek muddat se bahut chiKH raha hai mujh mein
dard-e-furqat ka koi mara hua hai mujh mein
kaise kah dun ki nahin KHana-e-dil mein koi
roz-e-awwal se makin mera KHuda hai mujh mein
koi pur-shor bayaban ki sada hai mujh mein
main talluq ko nibhane ka hunar jaanta hun
phir bhi ruTha hua hamraaz mera hai mujh mein
kaise main haal-e-dil-e-zar bataun sab ko
ek ajab tarah ka tufan bapa hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.