ek muddat se hai darkar dil-e-wahshi ko
ek muddat se hai darkār dil-e-vahshī ko
ġham koī qābil-e-āzār dil-e-vahshī ko
ik guzārish mire hālāt badal saktī thī
bas gavāra nahīñ upkār dil-e-vahshī ko
chand lamhāt hī Thahrā thā anā kā mausam
de gayā kuchh na.e ash.ār dil-e-vahshī ko
apne kirdār meñ yaktā hai zamāne-bhar meñ
ġham gavāra hai na ġham-ḳhvār dil-e-vahshī ko
choT sahne ke bhī ādāb haiñ lekin 'shāhid'
kaun samjhā.e ye asrār dil-e-vahshī ko
ek muddat se hai darkar dil-e-wahshi ko
gham koi qabil-e-azar dil-e-wahshi ko
ek guzarish mere haalat badal sakti thi
bas gawara nahin upkar dil-e-wahshi ko
chand lamhat hi Thahra tha ana ka mausam
de gaya kuchh nae ashaar dil-e-wahshi ko
apne kirdar mein yakta hai zamane-bhar mein
gham gawara hai na gham-KHwar dil-e-wahshi ko
choT sahne ke bhi aadab hain lekin 'shahid'
kaun samjhae ye asrar dil-e-wahshi ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.